Mauka
Seh liya tha jitna seh na hai, par ab aur nahi
Thaan liya tha ki nahi jaayenge uss gaali me phir kabhi
Phir mai unn se mila,
Jab ye baat unhe samjhai tab unhone kaha
Aree pagle yehi toh pyaar hai
Kabhi chizze bigadti hai, kabhi sudharti hai
Kabhi khatta, kabhi meetha.
Yehi toh pyaar ka swaad hai.
Ye woh gulab hai jise paane ke liye log na jane kitne kaato se guzar jaate hai aur tu hai ki kuch halato pe naraz ho ke baitha hai
Waise sahi toh bola tha unhone ne. Ye baat samajhne me samay zarur laga par aakhir me samajh hi gaya. Ab samay ke saath chizze bhi toh badalti hai na? Phir ek mauka mila. Mauka mila pyaar karne ka, ehsaas karne ka, usse jeene ka.
Par jaha tak mujhe yaad hai humne toh Thaan liya tha ki nahi padenge pyaar me, Seh liya tha jitna seh na hai, par ab unhone itna samajhaya toh unnke liye ye risk toh le hi sakta hu, kyuki yehi toh pyaar hai jise paane ke liye log na jaane kitne kaato me se guzar jaate hai
Toh lo, phir gir gaye - ussi pyaar me, unki wohi pyaari baato pe, par hume kya pata tha ki kisi din samay ka paaya phir ghumega aur hum phir se ussi modd pe aajayenge jaha phir se mai yehi kahunga
Seh liya tha jitna seh na hai, par ab aur nahi
Thaan liya tha ki nahi jaayenge uss gaali me phir kabhi.
Keh toh diya ki phir kabhi nahi jayenge uss gaali me
Par aaj bhi wahi khada hoke raah dekhta hu, ki shayad ek baar woh dikh jaye
Shayad chizzo ko ek mauka mil jata?
Shayad ek dusre ki baat sunlete?
Shayad ek aakhiri baar mil lete?
Par kya inn shayado ka kuch matlab hai?
Jo hona tha so toh hogaya
Ab chahe mai kitne bhi shayad likhlu
Sach toh yehi hai ki chizze toh nahi badlenge
Kyuki ab shayad gulab bhi naraz hai mujhse
Toh lo, phir aagaye ussi jagah, wahi jaha iss se phele tha, aur shayad aage rahu. Phir wohi baat, phir wohi soch ki
Seh liya tha jitna seh na hai, par ab aur nahi
Thaan liya tha ki nahi jaayenge uss gaali me phir kabhi